Posts

Showing posts from October, 2026
 hum jaan nisaar karte hain apno pe ab apne bhi toh kaamil nikle kya wajood tha khoon ka paani ke badle jo parayon ne badnam kar dala zamzam bhi pak rehti hai na puche jism se jadd jab maalik e kainaat ne nahi pucha abd se abd hi benayaab nikla jaane kaisi aafat thi jo kisse mein kitno ko baant daala kahaani toh chakar khaati rehti hai kaafi lub e lubab ek hi rehta hai na jadd na aal and aamal ka qiyaam hai khada insaan sirf apni khudaari mein bast hai khudaari bhi kaisi, khuda ko pyaari na lage insaan hi khuda ka humraahi kehta raha kal dastoor naya , raat ka andhera naya hum toh nikle haalat e haqeeqat ke tarashne wale jo pehn ke aaya haq mehboob sa jism pe usse bhi humne thukra daala kya baat hai insaan ki yeh usne khuda ko bhi thukhra daala

aab e haya

 aab e haya raabta bana  ishq manzil hi ajeeb hai raabta bana aankhen bhi yunhi khwabeed hai kinara tera hi sahi saaya na raha dil ka ab kanjoos kismat ne bhi kamzarf kinara badal daala jaate jaate kuch kehna tha tujhse shayad daga dono ki hai zubaan se phir kyun aaj bhi dam dam dua nikal ti hai aabro e roshan rahe fasana tera jahan bhi ho toh kal shayad mere mohalle mein teri hasi ki awaaz aajae