Posts

Showing posts from June, 2026

Baytaabi

Raat ke sheeshay par likhaa Teraa naam  Saasoon mei uljaah saa ek paighaam  Chaltay lamhe bhi thehray jaatay hai  Jab tu nazar aaye jahaan ruk jaatay hai  Dil ke shehar mei Sirf tu hi tu  Har gali mei Teraa hi junoon  Khamoshi bhi Cheekhney lagi  Jab yaadon ne Aankhein bhigo di  Halchal si hai rawaani  Baytaabi,  Raatoon ki hai gawaahi  Ab yoohi Dil mei aag puraani  Khaabon ka bojh hai Palkon pe aaj  Neend bhi lagti hai Mujhse naraaz  Teri hasi ka Ik halkaa saa rang  Bikhar gaya hai Meri rooh ke sang  Har sawaal mei Teraa jawaab Har duaa mei  Teraa hi khwaab Main sambhaloon bhi  Toh kaisay ab Jab ishq hi Ban gayaa sailaab  Agar yeh ghalti hai Toh rehnay de  Agar yeh dard hai Toh sehnay de  Kuch ishq Mukamal hotay nahin  Bas jeenay ka Bahaana detay hai