1

 kitna dard deta hai insaan kisi ko    

na samajh ke , yun besamajh lagta hai 

kabhi khushi ka daawa kiya tha khud se bhi

toh aaj dukh zangheen jism me baitha hai

kabhi aansun girne ka naam nahi lete the

aaj aakhon se dariya sa behta hai

kuch lafz khamoshi se bhad ke hote hain

dil ka chain yun tod te hain

kabhi dukh mein bhi koi jiya hai?

phir hum kitab e ghaib kholte hain

farmata hai khuda, teri har hasrat ki razaa mein hoon

teri har chaahat ki raah mein hoon

teri har nikli dua ka asar mein hoon

tere chaand se chehre ka noor mein hoon

shayd, dard zindagi mein bhula na sakein

jisko dil diya tha, uska dil kabhi apna na sakein

kabhi toh baarish mein shifa aayegi

kabhi toh chehre pe muskhurahat aayegi

Comments

Readers Fave

House of the Rising Sun