Baytaabi
Raat ke sheeshay par likhaa
Teraa naam
Saasoon mei uljaah saa ek paighaam
Chaltay lamhe bhi thehray jaatay hai
Jab tu nazar aaye jahaan ruk jaatay hai
Dil ke shehar mei
Sirf tu hi tu
Har gali mei
Teraa hi junoon
Khamoshi bhi
Cheekhney lagi
Jab yaadon ne
Aankhein bhigo di
Halchal si hai rawaani
Baytaabi,
Raatoon ki hai gawaahi
Ab yoohi
Dil mei aag puraani
Khaabon ka bojh hai
Palkon pe aaj
Neend bhi lagti hai
Mujhse naraaz
Teri hasi ka
Ik halkaa saa rang
Bikhar gaya hai
Meri rooh ke sang
Har sawaal mei
Teraa jawaab
Har duaa mei
Teraa hi khwaab
Main sambhaloon bhi
Toh kaisay ab
Jab ishq hi
Ban gayaa sailaab
Agar yeh ghalti hai
Toh rehnay de
Agar yeh dard hai
Toh sehnay de
Kuch ishq
Mukamal hotay nahin
Bas jeenay ka
Bahaana detay hai
Comments
Post a Comment