Jahaan

Woh paas hi tha…
“Kya?”

Samundar…
“Matlab?”

Matlab… ab to doobne ke liye bhi
manzoori chahiye
“Kiski?”
Dil ki…

Chala tha duniya badalne,
khud badal gaya
Nikla tha mausam bighaadne,
khud bigad gaya

Chahat jise jahaan ki thi
ab kisi aur ki hai
Kabhi zindagi meri bhi thi
ab ehsaan faramosh si hai

Kuch saansein apne liye kya rakh li
mujhse hi naraaz ho gayi
Ab kiston mein milti hai wohi saansein
jo ek baar khul ke leta tha main

Khwab to aise bikhre jaise
kabristan mein bikhri hui mitti ho

Janaab, zyada udna mat
yahan hans ke jeena bhi
rog maana jaata hai

Duniya kitni ajeeb hai
har roz naya mabood banati hai

Aaj aasman bhi nam hua hai
shayad isi liye zameen ne sajda seekh liya hai

Warna to sajda bhi
roshan sunehron ka karti thi






Comments

Readers Fave

Tum Phir Kabhi