Umr Bhar
ab tujhe yaad karna hai, umr bhar
tujhe jaan na hai umr bhar
tujhe pyaar se zyada
teri yaad mein rona hai umr bhar
na khauf tha kabhi itne dard ka mujhe
na irada tha kisi ko gham dene ka
kambakhat tu chal padi zindagi mein
aagayi nasl ka hisaab lene
aur ek main tehra, bekhabar. besukoon, beqaraar.
ab tu bata
tujhe yaad karna hai , tujhe pyaar se zyada, tujhe yaad karna hai , umr bhar.
Comments
Post a Comment