Tum Phir Kabhi
Tum phir kabhi
baarish mein milna
phir kabhi
zara mudke dekhna
pata toh chale
pyaar katra bhar bhi tha
ya vehm tha humara
main phir kabhi
main phir kabhi
jo tumhe pukarun
tum bas ek awaaz dena
zara pata toh chale
intezaar tha teri awaaz ka
jo shamein humne
baahon mein guzarin thi
unhe bhuljane ka dil tha kya humara
kya woh lamhe the
jo sang tere guzre the
kabhi tu bhi mera aashiyan tha
kabhi mein teri chaun
aur ab dekho
na ek dusre ka sawera hain hum
bas hain toh ek andhera
jo lehrata chalega
jab tak hum phir na milein
teri baahon mein ek kashish rahegi
jab tak woh mujhse na milein
kal faramosh nahi
aaj beandaaz hai
tere aane ki khabar ne
kardiye iktilafat hai
dil mein
kabhi umr guzre
toh aana chai par
jeeinge woh lamhe saare
haathon mein haath daal kar
shayad pyaar ki daastan hai hi yeh
na milenge kabhi toh bhicharne ka wajood hi nahi hoga
na jiyenge kabhi toh marne ka taqaza nahi hoga
Comments
Post a Comment