Jahaan
Woh paas hi tha… “Kya?” Samundar… “Matlab?” Matlab… ab to doobne ke liye bhi manzoori chahiye “Kiski?” Dil ki… Chala tha duniya badalne, khud badal gaya Nikla tha mausam bighaadne, khud bigad gaya Chahat jise jahaan ki thi ab kisi aur ki hai Kabhi zindagi meri bhi thi ab ehsaan faramosh si hai Kuch saansein apne liye kya rakh li mujhse hi naraaz ho gayi Ab kiston mein milti hai wohi saansein jo ek baar khul ke leta tha main Khwab to aise bikhre jaise kabristan mein bikhri hui mitti ho Janaab, zyada udna mat yahan hans ke jeena bhi rog maana jaata hai Duniya kitni ajeeb hai har roz naya mabood banati hai Aaj aasman bhi nam hua hai shayad isi liye zameen ne sajda seekh liya hai Warna to sajda bhi roshan sunehron ka karti thi